Maddah Say

Maddah say

Meri takhleeq say tu tau mayoos hi hoga

Na tau lafzoN say taraashaa hai
Inquilaab hai bharam main nay
Na hi Takhleeq meri main hai
Kisi jhaad ki pukaar
Na hi fardaa ka koi dil-feraib sraab
Na maazi ka paihum israar

Na hi ismaiN hai fasooN-I-alfaaz kay kartub
Na hi nishast lootnay kay andaaz
Aur maflooj zehanoN kay qabil nahi
Ki ismaiN hai imqaan-I-sad-parwaaz


Maddah-- Admirer(fan), Fardaa-Future, sraab-mirage
paihum-continous, fasooN-I-alfaaz- tricks of words,
nishast -mehfil, maflooj zehanoN-paralysed minds,B