Dil Hay Yon Muztarib Makano Main
Machliyaan Jesay Martabano Main
Dhoop Say Dhoondtay Hain Rah -e- Faraar
Log Sheeshay Kay Saibano Main
Be Erada Kalaam Ki Khowaish
Be Sabab Lukhnatain Zabano Main
Teri Aamad Pay Jesay Lout Aaya
Waqt Guzray Howay Zamano Main
Dil Dharakta Hay Har Sitaray Ka
Aaj Ki Raat Aasmano Main
Zang Aalood Ho Gaye Hain Jazbay
Jam Gaye Hurf Sard Khano Main
Reshmi Log Dhoondtay Hain Hum
Shehar Ki Aahini Makano Main