~ Maa'tam ~

**for the victims of earthquake in PAKISTAN

Paththrai hovee un Aankhoon main jab jhaank kay poocha kaisay ho
Chaa’lak parray tayzee say aansoo kaha dil yeh shaad kaisay ho

Jab raat ko chaand ki kirnoo’n main yeh neelam jhilmilaata tha
Us gadlay neelam kay paani main ab chaand ka aks kaisay ho

hasna,khailna,kandhay pay bithana,raat ko thapkiyaa’n day kay sulaana
un phool say maa’soom bachchoo’n ko lahad main utaarna kaisay ho

her Aankh main jaltay thay yahaan ummeedoo’n k haseen charaag
is shaher e khamosha’n k ghar ghar main qabro’n pay chiraghaa’n kaisay ho

In khoo’n Aalood Paharron nay sab say cheen lyay rishtay naatay
Bay basi ki in tasveeroo’n kay dard ka madaa’vaa kaisay ho

sabar laazim hay magar toba o astaghfaa’r kay saath
qahar e ILAHI ki yeh soorat tahasher bhulana Kaisay ho

(Precious^Khan)

**

Re: ~ Maa’tam ~

hasna,khailna,kandhay pay bithana,raat ko thapkiyaa’n day kay sulaana
un phool say maa’soom bachchoo’n ko lahad main utaarna kaisay ho

:cry: ujaarr halon ko rolana koi aap se seekhay

Re: ~ Maa'tam ~

:(

Re: ~ Maa’tam ~

bas AZAD sahib jo dil nay kaha woh likh diya …:frowning:

Re: ~ Maa’tam ~

:confused:

Re: ~ Maa’tam ~

:frowning:

mashAllah bouhat acha likha hai… :k:

Re: ~ Maa’tam ~

jo dil ne kaha aap ne lekh dia … Allah or lekhnay ki tofeeq de;
waisay hi dil ki baat se yaad aya, uss din bhi humara rona aaj ki tarah ka ajeeb or musalsal tha… PIMS list main hum naam daikh rahy thay … 11 years old, Name Azad, wonded, expired next day. uss ki maan ka sooch kar humain rona agia, shaid naam ki momasilat ke waja se. i don’t know. Dil hi to hay .. just wanted to share.

Re: ~ Maa'tam ~

Azad...its ok

ASA...dera manana

Re: ~ Maa'tam ~

mashallah

Re: ~ Maa'tam ~

thanx jasoos :)

Re: ~ Maa’tam ~

Its too Touchy for me to comment :frowning:

Re: ~ Maa'tam ~

ok....:)

Re: ~ Maa'tam ~

subhanallah

p.s :(

Re: ~ Maa'tam ~

thanx EMM....

Re: ~ Maa'tam ~

really wonderfull.. just great.. iam really proud of u PK :)
aur i hope Allah talah hum sab ko hidayat tufeeq day :(
cause it is just unbelievable, wat happened there. no one could imagine it.. and in a way (maybe it might offend someppl) these are signs of qayamat.. warning us.. .. anyway really nice and i hope that now ppl (including me) can learn some lesson from this :)

Re: ~ Maa’tam ~

any time,

Re: ~ Maa’tam ~

thanx alot dear 4 the Precious comments …:blush:

Re: ~ Maa'tam ~

Yakeenan jazbay he insaan ko majboor kertay hein k wuh kuch likhay...

aap nay buhat acha likha, apnay khayalat ko buhat achay say bayan kia...

aur Attia mein aapki baat say so-feesad muta-fik hun, yeh wu wakt hay k jub humein andaza ker laina chahiyee, k hamari konsi baat Allah Subhana ko itni napasand huwi k Ramadan kay mubarak maheenay mein hum per yeh azab-e-ilahi tota...
Kon janay waja kia hay...
lekin hum kam say kam apnay aamal(actions) per nazar tu dal saktay hein..
we need to reflect upon our actions and think wisely where we are heading as a Muslim Ummah...

Allah hum sub ko seedhi raah per chalnay ki tofeeq day. Ameen

Fara

Re: ~ Maa’tam ~

AAMEEN summa AAMEEN … thanx alot fara ji

Re: ~ Maa’tam ~

Precious khan is that u :eek: i mean comeon how could u write this ? ? ? ? amazing man :k:

its so touchy . . . . belive me app ka har alfaz dil mai utar geyah or yakeen manay app ke sooch phar kar aik taraf dil khoosh howa app kay seenay mai jo dil hai us kay leyah or aik taraf dil udas howa victims kay leyah :frowning:

yaar plz its my humble request to u that to write more n more plz :slight_smile:

wesay flowers denay mai kafi kanjos ho mai but for u :flower1: ← - - a speacial one from bottom my of heart :slight_smile: