shaam tak kaid raha karte hain dil kay andar
Dard ho jatey hain saray Reha shaam k baad
shaam se phelay talak laakh sulaye rakhain …..
Jaag uth,ti hay mohabat ki Anaa shaam k baad
Khawab takra k palat jatay hain baand ankhoon se
jane kis jurm ki kis ko sazza hay shaam k baad
chaand jaab roo k sitaroon se galay milta hay
ik ajaab rang ki hoti hay Fizaa shaam k baad …..
HUM ne TNHAI se poocha k milo gi kab tak
US ne Bay-cheni se Foran kaha ,shaam k baad
main agar khush bhi rahoon phir bhi mere sinay main
So-gawari koi rooti hay sadaa shaam k baad…..
TUM gay ho too Seeha(black) raang k kapray pehnay
phirti reehti hay mere ghar main kazza shaam k baad
Din ajab mothi main jakray hoye rehta hay mujhay
mujhay is baat ka ahsaas hoa shaam k baad
koi bhoola hoa ghaam hay jo mujh ko ….
Dil k paataal se deta hay sadda shaam k baad
MAAR deta hay ujaar jane ka Doh,ra Azaab
kaash ho koi kisi se NAA JUDA shaam k baad……