Wo beechare jo kabhi pyar ki baazi hare
Dar badar haak basar phirte hain mare mare
Aane wale ki mehak bhi to hawa’on mai nahi
Meri palkon se kyon jhank rahe hain taare
Kya khabar haal mera kya ho, sehar hone tak
Aaj ki raat na ja chor k mujh ko pyare
Zindagi apni gunah gar-e-muhabbat hi sahi
Kon aisa hai jo pehla issay pathar maare
Uff wo aansuu jo bahaa-a jo dam-a-rukhsat us ne
Mere daaman mai koi daal gaya angaare
Rabt itna na barha us buut-e-kaafir se ~Qateel~
Maar dal-lain ge tujhay mil k musalma’n saare
~Qateel shafai~