Ma’ani Ka Azab
Chauk se chal ker, mandi aur bazaar se ho ker
Laal galli se guzri hai kagaz ki kashti
Barish ke lawaris paani per behti bechari kashti
Shehar ki awara galiyon mein sehmi sehmi ghoom rahi hai
Pooch rahi hai
Har kashti ka saahil hota hai
To kya mera bhi koi saahil hoga?
Bholay bhaale ik bachay ne
Bema’ani ko ma’ani de ker
Raddi ke kagaz per kesa zulm kiya hai!
~ Gulzar