**Ab meray qalm o zaban sach ki taqat maangain,
Qol o lafz mujh sai meray sach ki sakhawat maangain,
Ab yeh insaan mere alfaazon main chahat maangain,
Na jaanay kiyun yeh bhikari se ab rahat maangain,
Jo meri zaat ka hissa nahin woh khaslat maangain,
Mujh jaahil ki jahalat ki wazahat mangain,
Kiyun nahin maangtai mujh sai jo main de sakta hoon,
Main hoon wehshi haan mujh sai meri wehshat maangain…
Lajawab**