Maanaa ke un ke nezo.n pe ab sar nahee koi !!!!

Maanaa ke un ke nezo.n pe ab sar nahee koi
kyaa un ke aasteen me.n bhii Khanjar nahee koi

majabuuriyo.n ne ghar se nikalane na diya
duniyaa samajh rahii hai meraa ghar nahee koi

ab kyaa kare.nge ham naye suuraj ki roshani
jab dekhane ke vaaste manzar nahee koi

dil ho rahaa hai der se Khaamosh jhiil sa
kyaa dosto.n ke haath me.n patthar nahee koi

qismat sabhii kii vaqt ke haatho.n me.n rahati hai
is daur me.n kisii kaa muqaddar nahee koi