Maa’n mujhey nend nahi aati hay
aik muddat say mujhey nend nahi aati hay
maan mujhey lourii sunao na sula do na mujhey
maa’n mujehy nend nahi aati hay…!!!
ra’t jagey ab to muqaddar hein meri palko’n ke
nend aay, to liye aati hay bagdad ki yad
Aankh lagtey he koi beywah utha deti hay
payt kitna he bharo’n bhook nahii mit’ti hay
jaltey basrah ki mujhey pyas jaga deti hay ,
koi Qandhar ki wadi say bulata hay mujhey …
zikar Qandoz ka aay to mujhey lagta hay ,
kaat ke ser koi hansta hay jalata hay mujhey …!!!
bum ki aawazein mujhey kuch nahii kehti hein magr’
zakhm in bachon ke sonay nahi detey hein mujhey …
maa’n meri aankhein to patthar ki hoi jati hein ,
no jawan lashay ye ronay nahi detey hein mujhey …