Cant U translitrate it into roman urdu?
Mout ki aghoos mai jub thak kar sojati hai maA
tub kahi jakar sakoon thora sa pajati hai ma'a
fikar mai bacho'n ki kuch is tarha ghul jati hai ma'a
nujawan hotay huway borhi nazar ati hai ma'a
orhti hai khud to gurbatoo'n ka boseda sa kafan
chahtoo'n ka perhan bacho ko pehnati hai ma'a
roh kay rishtoo'n ki ye gehraiya to dekhiye
choo't lagti hai hamray to chilati hai ma'a
janay kitni barf si ratoo'n mai asa bhi huwa
bacha to chati pay hai aur gelay pay sojat hai ma'a
apnay pahlo mai lita kar totay ki tarha
Allah ho Allah ho ratwati hai ma'a
ghar say jub bhi door jata hai koi noor-e-nazar
hath mai quraa'n lakar dar par ajati hai ma'a
kanpti awaz say kehti hai beta alwida
samna jub tak rahay hathoo ko hilati hai ma'a
lout kar jub bhi safar say ghar atay hain hum logh
dal kar bahain galay mai sir ko sehlaati hai ma'a
waqt-e-akhir hai pardes mai agar noor-e-nazar
apni dono putlia chookhat par rakh jati hai ma'a
pyar khatay hain kisay aur mamta kya cheez hai
koi in bachoo'n say pochay jin ki marjati hai ma'a
saal bhar mai ya kabhi haftay mai jumiraat ko
zindagi bhar ka sila fateha pati hai ma'a
Re: Maan Ke Naam..
thank you shab for roman version ![]()
Re: Maan Ke Naam..
beautiful sharing superb mind blowing
![]()
nothing in this world can replace Maa ![]()
Re: Maan Ke Naam..
thank you pk.. n rightly said..
Re: Maan Ke Naam..
Its beautifuly sharing red...awesome..
Re: Maan Ke Naam..
beautiful...
Re: Maan Ke Naam..
Its beautiful redidentity, thanks shab e hijr for roman fonts.
Beautiful, thanks for sharing
Re: Maan Ke Naam..
thanks alot..