Maaloom na tha hum ko satay ga bohat who
bichray ga tu phir yad bhi aay ga bohat who
Aab jiss ki rifaqat mein bohat khanda ba’Lab hein
iss bar millay ga to rullay ga bohat who
choor aay ga tabeer kay sehra mein akeela
har chand hamein khawab dikhay ga bohat who
who mooj-e-Hawa bhi hay zara soch kay millna
ummeed ki shamein tu jala’ay ga bohat who
honton say na bolay ga par ankhon ki zubani
afsanay judai kay sunaay ga bohat who
***By Aitbar sajid ***