**
maal-e-soz-e-gham haay nihaani dekhtay jaao
bharakh uthi hai shamma-e-zindgaani dekhtay jaao
Chaley bhi aao vo hai qabr-e-Fani dekhtay jaao
tum apne marney vaale ki nishaani dekhtay jaao
abhi kia hai kisi din khuun rulaaegi ye khamoshi
zubaan-e-haal ki jadd-o-bayaani dekhtay jaao
garuur-e-husn ka sadqa koee jaata hai duniya se
kisi ki khaak mein milti jawaani dekhtay jaao
udhar muuh pher kar kia zibha karte ho, idhar dekho
meri gardan pe khanjar ki ravaani dekhtay jaao
sunay jaate na thay tum se mere din raat ke shikvay
kafan sarkaao meri be-zubaani dekhte jaao
Faani Badayuni
**