Tumse kahin aaj lipat jaayen to maaf kar dena
Had se gar aage badh jayen to maaf kar dena
Shokhiyan aankhon ki betaab kar rahi hain hum ko
Aaj in me kahin doob jayen to maaf kar dena
Bheege hothon ke paimane na dikhao hum ko,
Inhe peene ko lab lipat jaayen to maaf kar dena
Dil ki baaten lab tak laa kar rok lete hain hum
Khat hamare kitabon mein kabhi pao to maaf kar dena
Har saans hamari tumhare husn ki karzdaar ho chuki
Dil-e-nadaan izhaar-e-mohabbat kar jaye to maaf kar dena
Ulfat ke afsane goonjte hain kayanat tak
Ishq hamara tumhe badnaam kar jaaye to maaf kar dena
Jaana, Had se aage badh jaayen to maaf kar dena
Tumse kahin aaj lipat jaayen to maaf kar dena