Maabood

buhat haseen hain teri akeeduto kay ghulab
hseen tar hay magar hur gul-e-khiaal tera
hum aik dard kay rishtay main munsalik dono
tujhay azeez mera fun mujhay jamal tera

magar tujhay nai maloom qurbuto kay alum
teri nigah mujhay faaslo say chahti hay
tujhay jhabar nahi shayud kay khulooto main meri
luho ugulti hui zindagi kurahti hay

tujhay khabar nahi shayud kay ham waha hain jaha
yey fun nahi uzeeut hay zindagi bhur ki
yeha guloo-e-junoon par kumund purti hay
yaha qalam ki zabaa par hay nok khunjur ki

hum us kubeela-e-wehshi kay daivtaa hain kay jo
pujaaro ki aqeedut pay bhool jatay hain
aur aik raat kay maabood subah hootay hi
wafa parast saleebo pur jhool jaatay hain

Re: Maabood

:k: