** Daastan Mere Laadh Pyaar Ki Bas
Aik Hasti Ke Gird Ghoomti Hai
Pyaar Jannat Se Is liye Hai Mujhe
Ye Meri ‘Maa’ K Qadam Choomti Hai**
** Daastan Mere Laadh Pyaar Ki Bas
Aik Hasti Ke Gird Ghoomti Hai
Pyaar Jannat Se Is liye Hai Mujhe
Ye Meri ‘Maa’ K Qadam Choomti Hai**
Re: Maa
waah, bahot Khoob…maaN kaa pyaar be-laus aur uskii qadr o mazilat besh-bahaa…
Mother’s Day par maiN ne bhii ek qit’a qalamband kiyaa thaa, mulaaHizah farmaaiye:
**ammaaN kii hii aaGhosh meN har shaKhs palaa hai
vaalidah kaa adab vaalid saaHab se sivaa hai
ammaaN kii 'itaa’at na karuuN maiN to Khata hai
zer-e-qadam-e-vaalidah firdaus 'alaa hai **![]()
Re: Maa
Thanks
What does sivaa mean?
Re: Maa
welcome…
**sivaa = in excess, a little more
**savaa = quarter/ek chauthaaii
suvaa = large needle/soojaa
Re: Maa
boht khoob :k:
Re: Maa
Aala!