maut ki aghosh mein jab thak ke so jaati hai ma
tab kahin jaa kar sukoon thora sa paa jaati hai ma
fikr mein bachon ke kuch is tarah ghul jaati hai ma
nojawan hote huwe boorhi nazr ati hai ma
orhti hai khud tau ghurbaton ka boseeda kafn
chahton ka peerhun (?) bachon ko pehnati hai ma
rooh ke rishton ki yeh gehraiyaan tau dekhiye
chot lagti hai humari, aur chilaati hai ma
jaane kitni barf si raaton mein aisa bhi hua
bacha tau chaati pe hai geele mein so jaati hai ma
apne pehloo mein latta kar aur totay ki tarah
Allah Allah hum ko ratwati hai ma
ghar se jab bhi door koi jaata hai noor-e-nazar
haath mein Quran lekar dar pe ajaati hai ma
dey ke bachon ko zamanat razay-e-pak ki
peeche peeche sir jhukaye door tak jaati hai ma
kaanpti awaz se kehti hai beta alvida
samna jab tak rahe haathon ko lehrati hai ma
laut ke jab bhi safr se ghar ate hain hum
daal ke bahein galle mein sir ko sehlaati hai ma
waqt-e-akhir hai agar pardes mein noor-e-nazr
apni dono putliyaan chokhat pe rakh jaati hai ma
pyaar kehte hain kisse aur mamta kiya cheez hai
koi in bachon se pooche jin ki mar jaati hai ma