yay ake nazm amjad islam amjad nay apni walida ki wafat pay likhi,jou k uni maa k inteqaal say lay ker 10 dinou main mukamal hooee
thouri lumbi hay lakin dil ko chhoonay wali
main jidher gia main jahan raha
maray saath thaa
wouhi ake saaya mahrbaan
wou jou ake paaraa abr thaasar-e-asmaan
pas-e-hergumaan
wou jou ake harf-e-yaqeen thaa
maray her safar kaa ameen thaa
wou jou ake baagh-e-irm numa sabhi mousmou main hara raha
wou ujarr gia
wou jou ake duaa kaa charaagh saa maray raastou main jalaa raha
wou bikhar gia
maray ghum ko jurr say ukharrta
wou jou ake lams-e-aziz thaa
kisi kapkapaatay say haath ka wou nahi raha
wou jou aankh rahti thi jagti maray naam per
wou so gaee!
wou jou ik duaa-e-sakoon thi maray rakht main wouhi khou gaee
aey Khudaa-ey Wahda-o-lumyaazul
taray ik harf k say-d hain
yay zama(n) maka(n)!
taray faislou k hazoor main
naa majal hay kisi uzer ki na kisi ko tab-e-sawal hay
yay jou zindagi ki mataa-h hay
tari deen hay,tera maal hay
mujhay hay tou itna malaal hay!
k jab iski saa-ut aakhri sar-e-raah thi
main wahaan na thaa!
maray rastou say nikal gaaewou jou ake jaey panaah thi
main wahaa naa tha!
sar-e-shaam ghum mujhay dhoondhti mari maa ki bujhti nigaah thi
main waha naa thaa!
maray chaar soo hay dhuwaan dhuwaan
maray khuwab say mari aankh tak
yay jou seel ashk hay darmian
usi seel ashk k paar hay
kaheen mari maa!
taray rahum ki nahi hud koee
taray af-fv ki nahi intehaa
k too maa say burh k shafeeq hay
wou rafeeq hay
k jou saath ho tou yay zindagi ki musaftain
yay aziatain …yay rukawtain
faqt ake nigaah ki maar hain
yay jou khaar hain
taray dast-e-mujzaa saaz hain
gul-e-khush jamal-e-bahar hain
mari iltejaa hay tou bas yay hi
mari zindagi ka jou waqt hay,katay uski ujli duawon main
taray derguzar k hazoor main
tari barktou k hisaar main!
wou jou khaas chashm-e-karm main hay
isi roushni ki qataar main!
kisi cheez ki bhi kami nahi
tari bakh-shishoun k deeyaar main!
mari maa ki rooh-e-jameel ko
sada rakhna apnay jawaar main!
sada purfiza wou lahud rahay,taray lutf-e-khaas ki chhayoN main
~~~~~~~~
phiRa aj haq kaliye jaa’N fida karay koi
wafa bhi jhooM uthay yo wafa karay koi
nimaaZ 14 sadi se hai muntaziR logo|
HussaiN ke tarha aye ada karay koi
~~~~~~~~~
~~Experience is the worst teacher; it gives the test before presenting the lesson.~~*
B-B-G NEHAYAT HE KHUBSURT HAI YEH .AGER INSAN KHALI PAPER PER SIRF "MAA" HE LIKH DAY TOU BHEE KHUBSURAT LAGTA HAI MAA HAI HE AYSEE CHEEZE.ALLAH suub ki maaoun ko lambee umer dayee ameen
This is beautiful poetry by sir amjad islam amjad..i still remember reading it on the newspaper in 2002 when i was in 10th standard. i memorized the whole poem during the first time reading. I just cut that paper and still i have it. it’s hard to believe it’s been like 10 years. I like its last stanza most and its here:
taray rahum ki nahi hud koee,
taray af-fv ki nahi intehaa,
k too maa say burh k shafeeq hay,
wou rafeeq hay,
k jou saath ho tou yay zindagi ki musaftain,
yay aziatain, …yay rukawtain,
faqt ake nigaah ki maar hain,
yay jou khaar hain,
taray dast-e-mujzaa saaz hain,
gul-e-khush jamal-e-bahar hain,
mari iltejaa hay tou bas yay hi,
mari zindagi ka jou waqt hay,katay uski ujli duawon main,
taray derguzar k hazoor main,
tari barktou k hisaar main!
wou jou khaas chashm-e-karm main hay
isi roushni ki qataar main!
kisi cheez ki bhi kami nahi
tari bakh-shishoun k deeyaar main!
mari maa ki rooh-e-jameel ko
sada rakhna apnay jawaar main!
sada purfiza wou lahud rahay,taray lutf-e-khaas ki chhayoN main
When sir amjad islam amjad was asked about this poem, he told that he wasn’t there when his mother died. As he had mentioned it in the poem as well.
May his mother’s soul rest in heaven..ameen