MÄÏN MÖHÄßßÄT HÖÖN
Main saahil pai likhee hoi ibaarat nahi
Jo lehron sai mit jaati hai
Main baarish ki barasti boond nahi
Jo baras kat tham jaati hai
Main khwab nahi
Jisey dekha aur bhula dia
Main shama nahi
Jisey phoonka aur bujha dia
Main hawa ka jhonka nahi
Jo aaya aur guzar gaya
Main chand bhi nahi
Jo raat k baad dhal jaye
Main to woh ahsaas hoon
Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay
Main to woh rang hoon
Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay
Main woh geet hoon
Jo teray labon se juda na hoga
Khwab,ibaarat,hawa ki tarah
Chand,boond,shama ki tarah
Meray mitnay ka sawaal nahee
Kuin kai MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN
Aur Mohabbat Koi Zawaal Nahiii…!!!