paagloon ki tarha tere piyaar main phirne lagay
kiya pareshani main hain ye baal bhi girne lagay
tumse milne ki tamanna thi faqat poori hui
jaan choote tumse hum ab ye dua karne lagay
shair ki manind humara raaj tha is shehar main
ab to bakri ban gaye hain tumse bhi darne lagay
rooz peete hain zahar ab koosa kaati ka yahaan
piyaar ke do bool sunlain ye he dum bharne lagay
kitne maasumoon ki tarha tum jatate piyar thay
aaj dekho pait main se pair do bardhne lagay
rooktey thay humko wo logoonse lardhne se kabhi
wrestler bankar wo humse har ghardi lardhne lagay
ik zamana tha mila karte thay chup ke tum humain
aaj unke baap bhi ghar main mere rehne lagay
ab koi hasrat nahi hai muntazir hain mout ke
dil ke armaan dil main he banne lagay marne lagay