agar musalmaan mein rattti barabar imaan ho aur aadmi mein insaaniyat ho to affair karey kiyon ...chaaey pehley ho ya baad mein ...
Zabardast.
Agar buchchon ko pehlay say pata ho aur samjha dia jaay to aisay chakkar main kabhi na parain.
Masha Allah to your soach.
Is tarha kay kamon main wohi partay hain jinko pata naheen hota parents pehlay say buchchon ko yay batain samjhatay naheen.
Parents ko chahyay apnay buchchon ko waqt say pehlay samjhain kay yay Islam main mana hai gunah hai wo yaqeenun is say parhaiz karain gay.
Buchpun say brain wash kar dain buchchon ka.
Haan ji her relation ko bohat asar parta hai jub hum ussay ahmiat detay hain aur jitna detay hain utna asar parta hai. Baaz dafa to kisi rah chaltay ka bhi koi amal aur koi undaaz bhi asar chor jata hai ya waqti ya hamaysha kay liaay.
Ta dum e hayat her relation ka asar parta hai us say talluq kitna gahra tha ya raha depend wohi aap kay ahmiat denay pay hai. Aap nain ahmiat naheen dia aur bhula dia to phir asar naheen parta.
Kabhi kabhi kisi ko koi aik achcha jumla, undaaz ya baat bhi hamaisha kay liaay asar chor jati hai. Baaz dafa to hamaray sochnay ka undaz aur dhang aur tareeqa e kaar bhi badal deti hai.
Jub baat shadi say pehlay love ki ati hai agar aap nain suchchi mohabbat ki hai kisi say to us kay to baytahasha asraat partay hain aap par aur uski wajah say spouse kay sath slook pay bhi.
Jo spouse kisi ki shadid mohabbat main giraaftar hotay hain shadi say pehlay aur kisi bhi wajah say unki shadi kisi aur say ho jati hai to uska rawiyya bhi bohat different hota hai apnay spouse kay saath agar jo batain usko pasand hon aur wo uskay spouse main na milaay to.
Ziadatar aisay hi spouses ki apas main naheen bunti jo kisi kay shadeed ishq main pehlay say giraftar hotay hain aur unka dil o dimagh kisi aur ko tasleem naheen karta. Aisay hi logon ki aksar unjaam divorce per hi khatm hoti hai.
Kisi spouse ki bayrukhi aksar is wajah say bhi hoti hai aur wo apnay spouse ko itna ahmiaat naheen dayta.
Isi liaay shadi say pehlay kisi kay ishq main agar giraftar hon to yay soch kar karna chahyay kay main nain apnay spouse ka poora haq ada karna hai jo bhi kuch milnay ka meri taraf say uska haq hai.
Jub tuk aap ka dimagh mukammal tor par kisi ko qubool karnay kay liaay taiyyar na ho jaay shadi na karain.