Gadha
1
Loug kehtay hain: haseen cheroun main
Zindagi ka Jamaal hotaa hay
Loug kehtay hain: khoobsoorat aawaazoun main
Zindagi ka rangg hotaa hay
Loug kehtay hain: Ghazaali aankhon main
Zindagi ka shabaab hotaa hay
Loug yeh kioun nahin sochtay
Hussun hee tau subb kuch nahin
kuch sadaaqatain Insaan kay ander hotii hain
Woh sadaqatain haseen cheroun main nahin hoteen
Kuch jazbay saanwlii ranggat main pinhaan hotey hain
Kuch jazbay roshan aankhon main hotay hain
*
Nice, Thanks for sharing:~)
LoG tou Buhat kuch Kahtay hain sub peh DhayaN nahin dena chahiye:~P
Gadha
3
[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
LoG tou Buhat kuch Kahtay hain sub peh DhayaN nahin dena chahiye:~P
[/QUOTE]
aap kuch jaani pehchaani lagtee hain:)
waisay loug kuch bhee kahain dehyaan nahin dena chaiyeh laikin apnay loug agar thorra bhee kahain tau bahut lagtaa hay...:(
hanie
4
yep … it hurts when koyi apna dukh de …
par poem bohat acha haye bhai Jaan … :k:
wah ji wah gadhay mian ki kya baaaaaat hai :k: