**Maa’n mujhay neend naheen aati hay
Ik muddat say mujhay neend naheen aati hay
Maa’n ! mujhay loree sunao na
Sulaa do na mujhay
Ratjagay ab to muqaddar hain mayree palkoo’n ka
Neend aaey to li’ay aati hay BAGHDAAD ki yaad
Aankh lagtay he koi baywa utha daytee hay
Pait kitna he bharoo’n bhook nahee’n mit’tee hay
Jaltay BASRA ki mujhay piyaas jaga daytee hay
Koi QANDAHAR ki wadi say bulata hay mujhay
Zik’r QANDOOZ ka aaey to mujhay lagta hay
Kaat kay sar koi hansta hay,jalata hay mujhay
Bum ki aawazain mujhay kuch naheen kahteen hain magar
Zakham un bachchoo’n kay sonay nahee’n daytay mujhko
Maa’n mayree aankahin to pathar ki hovee jaati hain
No’jawaa’n laasahy yeh ronay naheen daytay mujhay
Mairay seenay pay rakho haath
Rulaa do na mujhay…!
Maa’n ! mujhay loree sunao na
Sulaa do na mujhay …!
Maa’n ! mujhay neend naheen aati hay
Ik mudaat say mujhay neend naheen aati hay…!
( WASI SHAH … mujhay sandal kardo )
**