looh kehtey hain.....

loog kehtey hain kay perbat say nikal ker chasmay
kisi khoi manzil ki taraf behtay hain
aur sar.i.isham hawa un kay liye chalti ha
jin kay mehboob bahut door kaheen rehtay hain

koi pegham naheen jis ki tawaqah ho mujhay
kis liye goosh ber awaz hoon maloom naheen
jo kabhi dil mein tamana thi woh aaghoosh mein ha
ab kidher mayl-i-perwaaz hoon maloom naheen

naheen maloom kay is gham ki haqeeqat kiya ha
ashq ban ker meri aankhoon say baha jata ha
lab per aata naheen woh jazba-i-beetab mager
geet bannay kay liye dil mein raha jata ha

Re: looh kehtey hain…

Bohat khoob…:k::slight_smile:

Excellent

Very Nice guybrush,Thanks for sharing:)

thanks everyone :)

jabardus:k: