Long weekend hai..zaroor sab kay plans hongay kahin na kahin janay kay ![]()
humara tou door door tak koi program nahi tha kahin bhi janay ka..bass achanak sey ban gaya kah wisconsin dells chaltay hain ek din rahain gay aur monday ko aajain gay..![]()
tou bass thori bohat cheezain pack ki aur ab bass 2 ghantay araam karna hai..phir nikal parain gay Inshallah subah kay 6 bajay aur 3 hours ki drive hai tou Inshallah 9 bajay tak pohanch jain gay wahan par aur phir ghoomna phirna khana peena shuroo hojai ga ![]()
mujhay tou excitement sey neend hi nahi aarahee
lolz
aur time bhi bohat araam araam sey guzar raha hai..uff ![]()