logic

aik martabaa aik sardar jee kaa bayta kuch parh likh jata hai phir woh uss ko mazeed taleem kay liay USA bhaij daytay hain woh wahaan say logic main Phd karr aata hai.. wapis gaoon wapis aata hai to aik dost milta hai woh poochta hai keh sunna hai tum nay barri taleem haasil kee hai bataoo kya parha hai.. woh kehta hai keh main nay logic main phd kee hai … uss ko samajh nahien aatee to kehta ha keh challo main samjhata hoon missal say.. daikhoo tumharay ghar kutta hai.. woh kehta hai keh je haan kutta to hai… acha agar kutta hai to iss kaa matlab hai keh tum uss kay gosht kaa kharcha bhee bardaasht kartay hoo to woh kehta hai keh haan jee karcha to hota hai… to phir woh kehta hai .. is kaa matlab hai keh tumh khatay peetay ghar say hoo… to dost jawab dayta hai keh haan jee bilkul yeh to hai . acha jee iss kaa matlab yeh hoa keh tumharee savings kafee hoo jate hain… to woh kehta hai keh jee haan jee bachat to hoo jate hai.. to iss kaa matlab hao keh tumharee maan kiffayat shohaar aurat hai aur aik achay charactor kee khatoon hai… woh kehta hai keh haan jee yeh to hai… to woh kehta hai keh daikhoo main nay tumhian aab logic say samjhaya hai keh tumharee walida aik achay charactor kee khatoon hain… samajh aaee woh kehta hai jee samajh aa gaee.. yeh sunn karr woh challa jata hai .. rastay main uss dost ko aik aur aadmi milta hai woh kehta hai sunna hai tu willayat say aaiay hoay sardar jee say mill kar aaya hai bata kya parha hai uss nay.. to woh kehta hai keh uss nay logic main phd kee hai… acha main samjhta hoon tumhain.. keh logic kya hote hai… acha yeh bataoo keh tumharay ghar kutta hai woh kehta hai nahien.. iss par dost kehta hai .. tumharee to maan kaa charactor he mashkook hai…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


mairay dill mairay mussafir

hahhaha :~)
thats very nicely converted fem "X" to "G" :~)

lagda hai keh sirf tohanoon he samajh aaya hai munda jee…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/hehe.gif


mairay dill mairay mussafir