Chupke chupke jal jatey hain
log mohabbat karne wale!
Purwa sang nikal jatey hain
log mohabbat karne wale!
Ankhon ankhon me chal parte hain
khuwabon ki qandeel liye
chand ke saath hi dhal jatey hain
log mohabbat karne wale!
Dil me phool khila detey hain
log mohabbat karne wale!
Pani beech batasha surat
khud to ghulte rehte hain
sim ko shehad bana detey hain
log mohabbat karne wale!
Zakham dilon k dho jatey hain
log mohabbat karne wale!
Titli titli lehratey hain
khuwabon ki umeed liye
ek din khushboo ho jatey hain
log mohabbat karne wale!
Ban jatey hain naqsh wafa ka
log mohabbat karne wale!
Jhonka hain bechain hawa ka
log mohabbat karne wale!
Jali hoi dharti par jesey
badal ghar kar ayen
Basti par hain fazal KHUDA ka
log mohabbat karne wale!