Guftugoo ke lamhoon mein
Dekh hi nahe paatay
Hum tumhaare chehray ko
Tum hamaari aankhoon ko
Aaj aisa kartay hain
Chashm-o-lab ko parhtay hain
Baat chor detay hain
Jaane kya lamha hoga
Jab yeh haath haathoon se
Gar kabhi juda hoga
Aaj aisa kartay hain
Zabt-e-jaan parakhtay hain
Haath chor detay hain
Kaash koi samjha day
Log kis tarah dil ki
Manzilain alag kar ke
Saath chor detay hain
Aaj aisa kartay hain
Be-sabab bikhartay hain
Zaat torr detay hain …
Re: ~~ Log kis tarah dil ki manzilain alag kar ke ... Sath chor detay hain ~~
Read it before, but loved reading it again...Awesome sharing!
Re: ~~ Log kis tarah dil ki manzilain alag kar ke … Sath chor detay hain ~~
bohot khoob :k:
kafi mushkil kaam hai jo ap kernay ko keh rahay hain ![]()
Re: ~~ Log kis tarah dil ki manzilain alag kar ke ... Sath chor detay hain ~~
bahut khoob, thanks for sharing!
Re: ~~ Log kis tarah dil ki manzilain alag kar ke … Sath chor detay hain ~~
Arif ye to diary meiN note karney waali poem hey… zabardast
k: … good choice ![]()
Re: ~~ Log kis tarah dil ki manzilain alag kar ke ... Sath chor detay hain ~~
kafi mushkil kaam hai jo ap kernay ko keh rahay hain
mushkil hai magar na-mumkin tau nahe ....
Re: ~~ Log kis tarah dil ki manzilain alag kar ke ... Sath chor detay hain ~~
Thank you fara, Sheal, Lamhay and Amal ...