Local Dialects [lisaan-e-'ilaaqaaii]

Re: Local Dialects [lisaan-e-'ilaaqaaii]

Dilli kii zabaan kaii maraaHil se hotii huii guzrii hai aur muKhtalif advaar meN musKhtalif lisaanii farq aate rahe. maujooda Dilli kii zabaan meN khaRii bolii aur Punjabi kaa unsar Ghalaib paayaa jaataa hai. zabaan kii saaKht tanazzuli kaa shikaar hai. ab vo na zabaan e Dilli Darbaar rahii aur na vo Lucknow kii chaashnii.

mere Khayaal se Bharatpur chuN k Rajasthan meN hai is liye vahaN kii Urdu par Rajasthanii zabaan kaa asar Khaasa numaayaaN hai…maiN ek baar AligaRh se university ke tour ke saath Bharatpur Bird Sanctuary gayaa thaa tab mujhe is baat kaa andaaza huaa thaa.