salaam
hru?
kahte haiN k India meN har 20 miles par zabaan badal jaatii hai…zabaan se muraad lisaan-e-'ilaaqaaii [Local Dialect] hai. zabaan o bayaan aur andaaz ke Hawaale se kuchh shahroN kii apnii alag shinaaKht hai.
lutf kii baat to yeh hai k yeh farq is qadar hai k kabhii kabhii log ash’aar bhii apnii zabaan meN sunaate nazar aate haiN.
ek she’r hai:**
maiN vafaa kar rahaa huN, tu jafaa kar rahaa hai
yeh maiN kia kar rahaa huN, yeh tu kia kar rahaa hai!**
isko ek Allahabadii yuN paRhegaa:
**
ham vafaa karat haiN, tum jafaa karat ho
ii ham kaa karat haiN, ii tum kaa karat ho!**
aur Moradabad meN yuN paRhenge:
**
maiN jafaa kar riyaa huN, tu jafaa kar riyaa hai
yeh maiN kia kar riyaa huN, yeh tu kia kar riyaa hai!**
AligaRh kii 'ilaaqaaii zabaan meN yuN paRheNge:
**
ham vafaa kar riyaa, tum jafaa kar roye
oye maiN kaa kar roye, oye tu kia kar roye!**
ab aap log bataaiye k aapke apne 'ilaaqaaii zabaan [Local Dialect] meN ise she’r ko kaise paRheNge?
Good Luck, have fun and enjoy!!!
faqat Khaak-e-paa
_______KKF