youn loat aao keh ek baar phir say mera dil,
tumharay sath ki khusboo say kuch iss tarah mehakay,
keh jaisay raat ki rani kee dheemi narm khushboo say..
khawab lamahoon mein ek khumar ek nasha behkay.
youn loat aao keh ek baar phir say mera wajood,
tumharay sath kay rangon mein kuch istrah rangay,
keh jaisay raat mein phailay sagar ki koi tarapti lehar,
haseen chand ki narm roshni mein behakay
youn loat aao keh ek baar phir say mera ehsas,
tumharay sath kay naghmon kay sahar mein doobay
keh jaisay madhur sargoshi ka koi khoya howa saaz
apnay suroon kay jaltarang say khud hi lehkay
youn loat aao keh ek baar phir say mera jewan,
tumahary sath ki narm loa say yun chamakay
keh jaisay khoi howi titli kay udass jewan mein
kahin say aas ka ek jugno sitara sa chamkay
yuon loat aao keh ek baar phir huma kay rang
tumharay sath kay haseen paloon say yun munawar hoon,
keh jaisay sham kay aasman pay phaili howi shafaq
zameen O aftab kay milan say sharma kar damkay