Lo! raqibon mein naya ek naam shamil ho gaya

**Lo! raqibon mein naya ek naam shamil ho gaya
Ghair tha koi jo ab k raah mein hayal ho gaya
**
**Din kuch aisay bhi dekhayein hein mujhe taqdeer ne
Mein hua badnaam wo shuhrat ka hamil ho gaya
**
**Gardishy-e-Ayyaam ki hum Zad mein Aisay aa gaay Beh gaay toofan mein aur door saahil ho gaya
**
**Ghair ki baaton mein youn aa`ay bhula dala hamain
Meri baton ka asar lamhon mein zaill ho gaya
**
Os ny aankhein he badal dali hyn tujh sy aay “ASSAD”
Aur chupkay sy kisi janib wo mayal ho gaya…

Re: Lo! raqibon mein naya ek naam shamil ho gaya

**Din kuch aisay bhi dekhayein hein mujhe taqdeer ne
Mein hua badnaam wo shuhrat ka hamil ho gaya
**
Nice :k:

Apni ruswai tere naam ka charcha dekhun..
Ik zara sher kahun aur kya kya dekhun.

Re: Lo! raqibon mein naya ek naam shamil ho gaya

nice one :k: