Lo ! Khuda Hafiz Kehnay Ki Tumhein Sa’at Aagaee
Dil ko thaa jis baat ka dharka, woh naubat aagaee
Toot kar barshi ghatta tujh se juda hotay huwe
Aasmaan rone laga baadal ko gairat aagaee
Ittefakan jab koi tere hawalay se mila
Samnay nazroo ke yakdam teri surat aagaee
Ghar ke baam-o-dar simmat kar misl-e-zindaan hogaye
Shaam kya aaee ke jaise mujh mein wehshat aagaee
Isliye bheja nahee itne dinoo se khat mujhe
Raas shayad usko gairoon ki raqabat aagaee