Dil un ko dhoondta hai gham ka singhaar kar ke
Aankhain bhi thak gaeen hain ab intezaar kar ke…
Aankhain bhi thak gaeen hain ab intezaar kar ke…
Ek saans reh gaee hai, woh bhi na toot jaaye…
Lo aagaee un ki yaad woh nahee aaye…
Roti hain aaj hum pe tanhaeyyaan hamaari
Woh bhi na paayain shaayad parchaaeyyaan hamaari…
Woh bhi na paayain shaayad parchaaeyyaan hamaari…
Barhtay hi jaa rahe hain, mayooseyyoon ke saaye
Lo aagaee un ki yaad woh nahee aaye…
Lau thar-tharra rahi hai ab shammain zindagi ki
Ujhri huwi muhabbat, mehmaan hai do ghari ki…
Ujhri huwi muhabbat, mehmaan hai do ghari ki…
Mar kar hi ab milenge, ji kar tu mil na paaye
Lo aagaee un ki yaad woh nahee aaye…**
:k::k::k: to Lamhay for this wonderful song !
Khush raho hamaisha !
Exam kay din yaad agay .. iss kay saat ka aik our geet
Thorr(chorr?) gay balam
Mera pyar bhara dil thorr gay,
prep ke dinu main chemistry teacher lab main barray ehtemaam say donu geet gaya karti our tammam waqt aankhain un ki barsat rehtein. ... yadain .. batain .. ankhain .. waqee kuch lamhay ajeeb hotay hain .. dil kay qareeb rehtay hain ...