Living in USA

Re: Living in USA

Again, I dont promote or appreciate the Killings here.. I understand your and his point well… but its just the reaction!! and what do you expect from Muslims? to stay quiet? Jis ka jo jee chahay aaye aur nauzubillah Hamaray deen, hamaray Anbiya A.S aur Rasool par kuch bhi bol ke aur keh k nikl lain aur hum chup rahain, qk bhai Quran main aaya hay Allah Maaf kernay walo ko pasand kerta hay??
Kiya Akhirat main Allah hum se ye jawab nahin mangay ga ke jab baat tumharay deen p aai to tumne kiya KIYA?
I understand, ke jo tareeqay apnaye gaye hain wo sahi nahin magar my only question is, ke kiya ye tariqay sirf Muslims nain apnaaye hain? Americans nain nahin? Masoom logo ki jaanain to wo bhi le rahay hain naa! Rahi baat faraq ki, to faraq hay… wo mulko p qabzay kernay k liye jaanain le rahay hain aur Muslims apnay Nabi pe baat aanay p!!

Rule should be for everyone! Killings/ terrorism KISI ko bhi nahin kerna chahye! KISI KO BHI NAHIN!!