Aakhri ayyaam mein saarey hisaab likhoon ga
Mein bhi aik din kitaab-e-hayaat likhoon ga
Kaheen khushi ka tazkara, kaheen dukhoon ki daastaan
Kitaab-e-zeest kay mein saarey hi baab likhoon ga
Kis tarha ham par shabaab aayaa tha
Kis tarha dhal gaya yeh aaftaab, likhoon ga
Terey hissey ki saari taabeerein
Apney ujrey jo khaab, likhoon ga
Dil kay har zakhm ko kuredoon ga
Chahatoon kay azaab likhoon ga
Terey faraaq mein jo mehw-e-khayaal guzrey hein
Woh aankhoon mein sajey saarey saraab likhoon ga
Jo baarha tashnagi barhaatey rahey
Woh mosamoon kay ataab likhoon ga
Haqeeqatoon sey mera waasta nahi…
Lagta hai saarey wehem-o-khaab likhoon ga