Likh Diya Apne Ghar Par Kisi Ne Is Jagha Pyaar Karna manaa Hai
Pyaar gar Ho Bhi Jaye Kisi Ko uska izhaar Karna Manaa hai
Unki Mehfil Main Koi Jaye pehle Nzrein Woh Upni Jhukaye
Woh Sanam Jo Khuda Ban Gaye Hain Un Ko Bedaar Karna Manaa Hai
Jaag Uthenge Aahain Bharainge Husn Waalon Ko Ruswaa Karenge
So Gaey Hain Jo Furqat Ke Maare Unko Bedaar Karnaa Manaa Hai
Humne Ki Arz Ae Banda Parwar Kyoon Sitam Dhah rahe Ho yeh Hum Par
Baat Sun Kar Hamaari Woh Bole Hum Se Takraar Karna Manaa Hai
Saamne Jo Khula Hai Dareecha Aaana Jaana Qateel Uska Dekha
Ab Bhi Apne Liye Us Gali Main Shouqe Deedaar Karna Manaa Hai