ehsan
1
**ley ayee hayaat aaye qazaa le chalii chale
na apanii Khushii aaye na apanii Khushii chale
behatar to hai yahii ke na duniyaa se dil lage
par kyaa kareN jo kaam na bedillagii chale
ho umr-e-Khizr bhii to kaheNge ba_waqt-e-marg
ham kyaa rahe yahaaN abhii aaye abhii chale
duniyaa ne kis kaa raah-e-fanaa meN diyaa hai saath
tum bhii chale chalo yooN hii jab tak chalii chale
naazaaN na ho Khirad pe jo honaa hai vo hii ho
daanish terii na kuchh merii daanishwarii chale
kam hoNge is bisaat pe ham jaise bad_qimaar
jo chaal ham chale vo nihaayat burii chale
jaate hawaa-e-shauq meN haiN is chaman se ‘Zauq’
apanii balaa se baad-e-sabaa kahiiN chale **
Re: ley ayee hayaat aaye qazaa le chalii chale
very sad :(
KKF
3
Re: ley ayee hayaat aaye qazaa le chalii chale
nice Ghazal by Zauq. i think the matl'a should be:
**
laayii Hayaat, aaye! ; qazaa le chali, chale!
apnii Khushii na aaye, na apnii Khushii chale!**
aur maqt'a yuN honaa chaahiye:
**
jaate hawaa-e-shauq meN haiN is chaman se, "Zauq!"
apnii balaa se, baad-e-sabaa ab kabhii chale!**
ehsan
4

Aap toh grammer mein ghuss gaye, nice, thx
Diva
5
Re: ley ayee hayaat aaye qazaa le chalii chale
Depressing :(