lol
yaar ab issay track say nahi hatayo werna hamaray Majnoo mian ASIF nazarz hou jaeyn gay,
ake baat or logo plz dukh bharay waqeat yaa romanwi batain likhnay ki bajaeyn hamain wou tareeqay likhay k kaisay chohdary ka baita apnay baap ko maar ker seat pay baithaa yaa ake seasutdaan kaa chouro say or dakoo say kia taluq hay
kam az kam awam ko bhi khaber hou k yay log gadeyo pay baith ker kis say zulm ker rahay houtay hain or kis ko fayda day rahay houtay hain,actully kahnian isi hi maqsad k leay likhay tou maza aey werna yay bhi 3 ourtain 3 kahnaian ban jaey gaa:-(
ok agay ka waqea yay hoowa…
or apnay aap ko goli say urra deya.Bas baita aaj bhi Rano ki maan gali gali dewano ki terha phirti hay or Rano rano pukarti hay,yay kah ker chachay nay apni ankhain saaf ki or tanga khara ker k maira samaan utarnay laga main nay jou nigaah uthayee tou…
Asif yaar I have noticed that your Urdu is changing as Mehru chacha’s tanga is moving from Lahore Railway station to Baghbanpura…I wonder if I give a twist to the story and take it to Ghurkee, you might start writing it in ThaiTh punjabi
Ussi Bhaghbanpura kay aik chotay say mohallay ki chotti si galli kay chotay say makaan kay chotay say kamray kay chotay say palang per aik chota sa larka bhi rehtaa thaa jo Bechaara alie’s subha utth kar kaam per challaa jaata, aur kaam bhi kia… phelay tau aik lamba sa chota faasla tay karta hua aik barray say chotay dhobhi ghaat per pohunchta aur wahan say bhaghbanpura kay sub say baray aqalmand chotay say gadhay ko saath laita aur phir gali gali awaz lagaata phirtaa: “Paanday Qalai karaa looooo…”
Naik…huh!! saara plot hi satyaa naas kar diya…aagay jo rangeeniyaaN mere zehn mein theeN unko paRhteeN to kabhi na mazloomiyat-e-zann ka shikwa karteeN..
Chann ji–dekho ji Chacha Meherdeen ki urdu mein se agar faarsiyyat tapke gi to ghair-asliimaaloom hoga na? iss liye apni urdu badal daali thi…!!
"ammaaan! roshan bhai ko abh tak a jana chahiye tha. pata nahi kidhar reh gaye."
"sabar kar beti...ajaye ga....tu ja haandi mein doi pher kay aa...salan jal jaye ga". shakeela(roshan ki behen) moon banati huwi bawarchi khaney mein gai, jahan Shamsa pehley sey baithee chawal saaf kar rahi thi. Shamsa hamsayon ki beti thi, aur shakeela ki bachpan ki saheli. Roshan kay aaney ki jab sey khabar mili thi, shamsa kay chehrey pey aik sharmeeli si muskurahat thi........
Roshan kay aaney ki jab sey khabar mili thi, shamsa kay chehrey pey aik sharmeeli si muskurahat thi…aik aisee dilnasheen muskaraahat jissay agr koi shaa’ir dekh leta tau yaqeenan ghazal keh deta aur. aik aisee haseen tabassum ke phol bhi isse dekh kar sharmaa jayye. yooN Shamsa ko qudrat ki taraf se bay-panaaH husn mila huwa tha aur uske oopar uski fitrat mein jo maasomiyat thi is husn-e-laa-thaani koi aur bhi nikhaaR deti thi. daraaz, syaa, gesuu choon shabaaN-e-hijraan, mah-vesh chiHra, rukhsaar maanind e gulaab, hilaali abru, mizhgaaN chooN teer, lab aisay khoobsurat ke gulaab ki kaliyaaN sharmaa jayein goya arghawaani saaghar se labraiz, aur deeda-i-misl-e-ghazaalaN, madh-bhaReen, naavak-e-naaz. Is kamaal paree-chihra kay sath saath uska jo badan-e-naubahar jo tha..bas Allahu Akbar! Qad-e-sarv, naazuk kamar, khoobsurat pustaaN, masti se bharee huwi chaal aur adaa o naaz aisay ke sohnay pe singhaaR ka kaam de rahe hoN. Jo bhi larka usse dekhta yek dam be-khud ho jaata. lekin woh kissi ko munH nahin lagaati thi. Bas Roshan hii aik tha jis ka ishq usse maahi-e-bay-aab ki tarah taRpaata rehta tha. Lekin who jaanti thi ke Roshan to Rani se muhabbat karta tha. Lekin choonke uski jawaani usse taRpaa rahi thi, woh teH kar chukee thi ke Roshan ko woh zaroor apna banaa lay gee. Iss khoobsurat khyaal ke saath usne aik lazeez angRaaee lee jissay gar hooraan-e-firdaus bhi dekhti to rashk se paani paani ho jaateeN…
Kiya dekhtee hay kay paroos waloun ki billi “tootaa” bahar khari dumm hilla rahee hay…Shamsa ne jab billee ko dekha tau ghussay se billee ko aik ishaaratan laat maaree aur chilaa kar us bechaarii billee ko bhagaa diya. Billee khawf se jald az jald waapas paros waalon ki deewar pe chalaang lagaa kar baiTh gayee aur mayoos nazron se Shamsa ki taraf dekhne lagee..jab Shamsa ne yeh maajra dekha tau uske dil mein khawf e Khuda aagya aur bille keliye tars aur usne baahir baarish mein jaakar pyaar ke saath billee ko andar bulaana shurooH kardiya. Choonke ab qatr o imtaar kaafi shiddat se bars rahay thay, Shamsa ki patlee shalwar kameez jaldi bheeg gayee aur uska khoobsurat aur mutawaasat badan saaf andar se dikhaaee dene laga; aisay dikhtaa tha jaisay kissee sang-tarash ne aik yunaani devi ka but taraasha huwa hai…
[This message has been edited by Asif (edited January 25, 2001).]
Asif, trust me u don't want my honest opinion about u wrote:-P
aur dhiTaai ki hud hoti hei.....meri story or mere plot ko koi lift hi nai idher....apni apni hunDiya sab ne chaRhai hoi hei.....eik haanDi se khatay sab ko takleef hoti hei huh!!!
i am Bycotting this thread!!!
ps>> Chan ji tussi aam khao paeR na ginno...aur khet ka kiya hei...gujranwala meiN buht khet heiN.....chaudry Roshan ko utha ker gujraNwala ke khetooN meiN le ge thay....khush!!!
wesay yea novel hei koi geography ki class nai....
ps2>> wesay 2nd option bi hei....khet na sahi....sar-e-aam chowk per bi Roshan ka rape ho sakta hei....
ps3> and BBG is right....no one wants to read laazwaal ishq-o-muhabbat ki daastaaneiN....alif laila or laila majnooN nowadays....get real!
ps4> Asif ur last post is aghhhhhhh.....like those aThani ki booklets...jo teenagers chatkharay lene ke liay lunDay bazzar ke peechay se khaareedtay heiN....do it wid class:)
aisay dikhtaa tha jaisay kissee sang-tarash ne aik yunaani devi ka but taraasha huwa hai...
kay uss ko achanak yaad aya kay ussay to doctor nay barish mein kharay honay say manaa kiya hay kiyoonkay pind mein to woh chaar dafaa jali thii khana pakatay huyay. Woh phir jaldi say wapis kamray mein ghuss gayi or billi bhi uss kay peechay aagayi. Billi ko uss nay cheechray diyay aur khodd dhamaa dham sari botiyan matkay mein say nikal kar kha gayi. Matkay mein iss liyay theen kiyoonkay wahan fridge nahin thaa. Abhi woh boti kha hi rahi thi kay achaanak ussay aik cheekh sunnayi dee.......
oye dont turn this into a sleaze fest. saada sa novel likho. Look, it even attracted me, a guy who hasnt read a single novel his entire life. Aur ab iss tarha ki fazooliat will push away all the good writers. anyway....
Abhi woh boti kha hi rahi thi kay achaanak ussay aik cheekh sunnayi dee.......cheekh bahir sey ayi thi. Uss ney khirki sey bahir jhaanka tu dekha kay gulloo aur maani baarish ka paani aik doosray kay upar uchaal rahey thay....aur gulloo ki maan ussey gaalian dey dey kay ander bula rahi thi.."bahut badmaash hai yeh gulloo" shamsa boli. Itney mein ussey ghoray kay payron ki tap sunai di, jo ussey bata rahi thi kay koi tanga ghar kay bahir aa kay ruka tha. roshan! uss ney dil mein socha, aur bhag kay darwazey kay paas gayee, jahan roshan ki amman aur shakeela pehley sey khari theen........
...jab woh baahir darwazay kay qareeb gayee tau usse aik taanga dikhaaee diya jis mein chacha mihrdeen tha...lekin roshan ka koi naam o nishaan hi nahin tha. Aik dum se who phir maayooas hogayee aur phir, yakayak pukaar uThee, "salaam chacha! roshan nahin aaya?" Uss ne abhi abhi yeh kaha hi tha ke taangay kay peeche se roshan bhaagta bhaagta aa raha tha aur uss kay peechay aik bahut baRa bhaiRiyya-nasal ka kutta bhaag raha tha...woh ghabraaya huwa, ghar kay sahN kay andar aagya aur chaarpaaye, jo ke sahn mein bachee huwee thi, par chalaang lagaa kar khaRaa hogya! Kutta bhi uss kay peeche aata jaa raha tha. Akhir kaar kuttay ne chaarpaayee kay ird gird bhaagna aur bhaunkna shurooH kar diya...roshan bay chaara tau khawf se paseena paseena ho raha tha. Shamsa baaqi logoN kay saath qehqehey lagaa rahi thi...
Shamsa baaqi logoN kay saath qehqehey lagaa rahi thi…
Shakeela khilkhila kar kehnay lagi, aray aap apnay jimmy ko kaisay bhool gaey bhai? neechay uttaryay, hamaaray say ziyada to aap kay jimmy ko aap ka bay-qarari say intezaar tha. Roshan yeh sun ker hairaan aur shirminda sa ho gaya, oh, maira jimmy? uss ki aankhon mai aansu bhar aaey aur woh chaarpai say challaang laga ker uter aaya, jimmy sir jhukaaey dum hila raha thaa, roshan nay ussay galay say laga liya aur kaha, maaf ker do mairay dost…jimmy buhut piyaar say apnay maalik kay haathon per apna sir ragaRnay lagga..
Itnay mai Roshan ki nazar Shamsa per parri joh keh ammaan kay peechay kharri munh mai pallu dubaaey abhi tak hansay jaa rahi thi…