Leo - Na Samajh

I wrote this ghazal recently.

Na samajh tujh bin mar raha hu main
Teri yado se har pal lar raha hu main

Tu mere pass nahi
isi gham e dard se bhar raha hu main

Dil kerta hai zindagi apni mita do
Aj kal to kudkushi ka intezaam ker raha hu mai

Teri judai ki aag mein jal raha hu main
Ab to apni tanhai tak se dar raha hu main

Sanse lena hua mushkil dil bhi mushkil se darakhta hai
Lagta hai rooh jism mein nahi
Yeh to mohadzah hai ke yuhi chal raha hu main

mere khato mein lal boonde nazar aye to chonkna mat
Per laina mere khat apne ap ko rokna mat

Anso to salo pehle kushk hogaye
Abto ankho se khoon girta hai

Mein nahi milsakta tujhse to kiya
Mera laho tere ghar ke bahir
Teri galio mein tujhse roz milta hai

kal raat asmaan per ik tuta sitara dekha
Mene mehsoos kia ke mera dil toota hai
Aisa laga ke aik aur sitara mujhse rootha hai

Re: Leo - Na Samajh

bht nyc

Re: Leo - Na Samajh

Keep sharing best :k:

This is another shair I wrote.

Leo - Mere Marne Ke Baad

Lyrics:
Mere marne ke baad
Meri kabur per mera naam na likhna

Naam mein kia hai
Likhna hai to mere pyar ki dastan likhna

Pyar bhari zindagi mein mushkilat nahi
Yeh to hai sabse asaan likhna

Pyar mein budha kon hota hai
Is mein to rehte hai sab javaan likhna

Mohabbat ka safar kabhi nahi rukta
Yeh to hai ik musalsal carvaan likhna

Pyar mein bewaffai kerna
Astaghfirulah hai yeh sabse bhara gunah likhna

Mohabbat kerte hai sabhi
Maghar nibhana hai ik imtehaan likhna

Tha to yeh aik aam insaan
Lekin marne ke baad
Isse yaad rakhe ga sara jahaan likhna

Re: Leo - Na Samajh

:slight_smile:%between%