This is a shair i wrote recently.
Leo - Mere Marne Ke Baad
Mere marne ke baad
Meri kabur per mera naam na likhna
Naam mein kia hai
Likhna hai to mere pyar ki dastan likhna
Pyar bhari zindagi mein mushkilat nahi
Yeh to hai sabse asaan likhna
Pyar mein budha kon hota hai
Is mein to rehte hai sab javaan likhna
Mohabbat ka safar kabhi nahi rukta
Yeh to hai ik musalsal carvaan likhna
Pyar mein bewaffai kerna
Astaghfirulah hai yeh sabse bhara gunah likhna
Mohabbat kerte hai sabhi
Maghar nibhana hai ik imtehaan likhna
Tha to yeh aik aam insaan
Lekin marne ke baad
Isse yaad rakhe ga sara jahaan likhna