"LENIN"...by Allamaamah Iqbaal

**salaam,


'allaamah [Dr.] MoHammad Iqbal [r.a.] kii nazam**** “LENIN”**** pesh-e-Khidmat hai…paRhiye aur Ghaur o fikr farmaaiye:**

http://www.pakistanpage.net/gallery/main/leaders/leader2.jpg

Re: “LENIN”…by Allamaamah Iqbaal

abhi to roza lag raha hi mi ese hi:woho: hun

parhongi to sach mi samaj nahi ae ga:bummer:

Re: “LENIN”…by Allamaamah Iqbaal

Allama Iqbaal se ziada gehra and aur acha shair abhi tak koi nahi hai Great sharing KKF :k:

Re: “LENIN”…by Allamaamah Iqbaal

ok sure…peT meN khaanaa hogaa to zehn meN alfaaz-e-Hikmat ghusegaa :slight_smile:

is men koi shak nahiiN…na paidaa huaa thaa, nai hai aur na hogaa shaayad :)…thankoo :slight_smile:

Re: "LENIN"...by Allamaamah Iqbaal


agar ho jaaye to qaum ke halaat phir badal jaayein ;)

Re: "LENIN"...by Allamaamah Iqbaal


**bilkul saHeeH...Qur'aan to log paRhte nahiiN...'allaamah Iqbaal ko hii paRh leN...maiN unke kalaam se dikhaauuNgaa k aaj jo ho rahaa hai uskii tashKhees Allamah Iqbal ne kii aur uskaa Hal bhii tajveez kiyaa...is she'r pe Ghaur farmaaiye:


kii MoHammad [saws] se vafaa tu ne to HAM tere haiN
yeh jahaaN cheez hai kia, lauH o qalam tere haiN!****

ai Allah, musalmaanoN ko 'aql-e-saleem aur qalb-e-Haleem de aur hameN hidaayat de...aameen**

Re: "LENIN"...by Allamaamah Iqbaal


Ameen waqi mein her sher mein kitni gehraii hai

Re: "LENIN"...by Allamaamah Iqbaal

Very nice,

IQBAL tere Qaum ka Iqbal kho gaya.,
Mazi to sunhera hai mgr Haal kho gya
Woh Rob-Dabdaba Who jalaal kho gya,
Woh Husn Be-Misaal woh jamaal kho gya,
Dooby hain Jawabon me pr sawal kho gya,
IQBAL tere Qaum ka Iqbal kho gaya.,
Urtay jo Fizaon me thy shaheen na rahy,
Ba zouq na rahy Zaheen narahy,
Pakeeza ghr na rahy,Ba Deen na rahy,
Woh Laal-o Gulzaar woh mah Jabeen na rahy,
Momin ka woh Andaz e Bakamal kho gya,
IQBAL tere Qaum ka Iqbal kho gaya.,

Re: "LENIN"...by Allamaamah Iqbaal


shukria janaab...bilkul bajaa farmaayaa, Iqbal pe likhii nazam Harf ab Harf aajke Haalaat kii saHeeH 'akkaasii kartii hai...shukria share karne ke liye.

Re: “LENIN”…by Allamaamah Iqbaal

mojooda halaat pe bilkul suit kerti hai…Ilama iqbal ka koi jorr nhi…thanx 4 sharing.
i also wants 2 share one of his qalaam,