**
Saarey waadon ko bhula sakta hoon**
Lekin rehne do..!
Main tumhein chor k ja sakta hoon
Lekin rehne do..!
**Tum jo har morr pe keh daitey ho Khuda hafiz
**Faisla main bhi suna sakta hoon
Lekin rehne do..!
**Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali
**Us per main muskura b sakta hoon
Lekin rehne do..!
Sharam aaye gi tumhein warna tumharey waaday
Main tumhein yaad dila sakta hoon
Lekin rehne do..!