***raat ki neendain to pehle hi ura kar le gaya
reh gayi thi aarzoo so wo bhi aa kar le gaya
titliyaan aayain gi kaya ab kaanch ke guldaan par
phool jitne the wo baalon main saja kar le gaya
din nikalte hi wo khawabon ke jazeere kaya huwe
subha ka sooraj meri aankhain chura kar le gaya
door se dekhoon to yeh dariya hai paani ki lakeer
moj main aaya to yeh janghal baha kar le gaya
us ne to in motiyon par khaak bhi daali naheen
aankh ki thaali main dil,aansoo saja kar le gaya
ghor sedekha to dil ki khaak tak baaqi na thi
mujh ko dawa tha ke main sab kuch bacha kar le gaya
sab ko apni hasraton ki talkhiyaan yaad aa gayeen
rang chehron ka wo tasweerain dikha kar le gaya ***