Lay ura aisa tera dheyaan mujhay
Tu bhee lugtee hai ab unjaan mujhay
Hur sada teree sada lugtee hai
Kya batatay hein meray kaan mujhay
Rait ka dhair bana day na kahein
Dhoop mein tapta bayabaan mujhay
Sunsanatay hain dur o baam khiyaal
Kur gaya kaun ye weeraan mujhay
Mein nay pehchaan liya hai tujh ko
Ab na kur muft parayshan mujhay
Ruch gayee jis mein teray durd ki dhoop
Mein wohi shaam hoon pehchan mujhay
Dilsay
2
Re: lay ura aisa tera dhiyaan mujhay
[QUOTE]
*Originally posted by HeArT HaCKeR: *
Ruch gayee jis mein teray durd ki dhoop
Mein wohi shaam hoon pehchan mujhay
[/QUOTE]
Very nice...
Re: lay ura aisa tera dhiyaan mujhay
bhut khoob:k:
Azad
6
Ruch gayee jis mein teray durd ki dhoop
Mein wohi ** shaam** hoon pehchan mujhay
Wah kia shaam hay :k: