Sir say chadar badan say qaba lay gaye
Zindigi ham faqeron say kya lay gaye
Meri mutthi main sokhay hoye phool hain
Khushbon ko ura kar hawa lay gaye
Main samandar k seenay main chatan tha
Raat ek mauj aaye baha lay gaye
Ham jo kaghaz thay ashkon say bhegay hoye
Kyon chiraghon ki lau tak hawa lay gaye
Chad nay raat mujhe ko jaga kar kaha
Ek larki tumhara pata lay gaye
Meri shohrat siyasat say mehfoz hay
Ye tawayaf bhi ismat bacha lay gaye