Udaas shamain ujaar rastai kabhi bulain to laut ana
kisi ki ankhon main ratjagon kai azaab ayain to laut ana
abhi nai wadiyon nai manzaron main reh lo mager meri jaan
ye sarai aik aik ker kai tum ko choor jain to laut ana
nai zamanai ka karb orahai zaeef lamhai nidhaal yaadain
tumharai khabon main band kamron main laut aain to laut ana
ager andheron main choor kar tum ko bhool jain tumharai sathi
apni khatir apnai diyai jalain to laut ana
mairee wu batain jin pai hansta tha beikhtiyar khil khila ker
becharnai walai mairee wu batain kabhi rulain to laut ana