Last call

kal hamesha ki tarah uss nay kaha yeh fone par
main buhat masrof hon mujh ko buhat say kaam hain
iss lye tum ao milnay main to asakte nahi
har riwayat torr kar iss bar main nay keh dya
tum jo ho masrof to main bhe buhat masrof hon
tum jo mashoor to me bhe buhat maroof hon
tum agar ghamgeen ho me bhi buhat ranjoor hon
tum thakan say choor ho to main bhe thakan say choor hon
jan-e-man hai waqt mera bhi buhat hi qeemti
kuch puranay doston nay milnay ana hai abhi
main bhi ab farig nahi mujh ko bhi lakhon kaam hain
warna kehnay ko to sub lamhay tumharay naam hain
mere ankhain bhe buhat bojhal hain sona hai mujhay
ratjagon k baad ab neendon main khona hai mujhay
main laho apni anaon ka baha sakta nahin
tum nahi ate to milnay main bhi asakta nahi
uss ko yeh keh kar wasi me nay reciever rakh dya
aur phir apni ana k paon pe sir rakh dya

Re: Last call

Shukr hai Wasi ne bhi koi achi cheez likhi...

Re: Last call

:rolleyes:

Re: Last call

achi hi thx 4 sharing carez

Re: Last call

achi hay, lakin khatarnaak hay