larkion ko sha-iry kia aa gaye
sherni ik ghas goya kha gayee
Kis qadar he zaum apnay husn per
maindaki per bhi jawani chaa gayee
mein ne kab chaha tha ke aisa bhi ho
tum ko dekha aur tabeeyat aa gayee!
may mein nasha he magar ye kia hua
aap aa yay bazm-e-dil garmaa gayee.
hum diwanoan ka urao na mazaq
zindagi hum se muhabbat paa gayee.
Faaslay ulfat mein kam hone lagay
dil kee naddi band apnay dhaa gayee.