Mere piyaray bhayo, aur bhayo ki behno. If you are fat, agar aap kay jisam kay 2 kilo say ziyada charbi latak rahi hai to please hamari is thread kay tips ko yaad kar laiN. Kal ko shaadi bi honi hai, ye na ho BULLDOZER NUMA WAZAN ki waja say MANJI kay paaye gir jaiN.
Tips:
1) darwaza band kar kay daler mehndi kay ganay laga kar bed kay aik taraf nukkar par char kar neechay ki taraf kala baaziaN lagaiN aur phir zameen par reeng reeng kar siri devi ki tarah dance kar kay , phir uth kar nargis ki tarah aik do thumke lagaiN.
Agar excersice kertai hoai hawa ka dubao kam hojaye, to apkai samnai, oxygen maks automat-caly gir jaye ga. Maks ko apnai moon vich waar ker, araam sai saans lai. Shukriya**
hahahah ye tip tha ya PIA ki airhostress ka kalaam.
here is tip nr annay wah.
The Golden Rahim Shah TIP -GHUM karaiN, apni kissi nakaam mohabbat ko yaad karaiN. Sochti jaiN, raat ko sonay say pehlay upar chat ki taraf dekh kar waqt guzaraiN. Damaag ki warzish jitni ho gi utna wazan gham say halka ho ga.
hahah dimaah ki warzish kai liye dimaagh chahiyai hota hai Rahim Shah buddy
**Tip number chaar so vi-
Please…manji sai chalaang markai crash land kernai sai pehlai yeh dekhlai kai apki crashing site pai koi nana muna bachaw,( ya uski bachi) beth ker apna homework na ker rahai ho, kyun kai aisa haadsa pesh agaya to na to woh bacha bachai ga, na hi uski bachi.
P.S.- Uraan bharnai sai pehlai apni belt baandna mat bhoolyai. Aap kai aba nai har cheez ki insurance nahi kerwai :)**
Lagta hai sabh moti aunties are already trying the excercise. We shouldv’e told them to do the excerise after we were done explaining. We haven’t even posted the CAUTION- READ BEFORE USE tip yet
oh man…this is why i love u guys!!! always make me laugh uff pait mein dard hoying hans hans ke! and YES i belong to this thread daler mehndi ka gaana download karring