larkian kitaabi hain
kitaabi baat karti hain
kitaabi baat sunti hain
kitaabon main likha hai
tum kaho to chand laa don
ya torr kar laa don sitaray
jaha jaha pay qadam hon ap kay
wahin pay sajday hamaray
kitaabon main likha hai
jab say tum ko dekha hai
neend koson dour hai
hamesha chalta rahonga
chahay manzil buhat dour hai
tumhari khatir main
saray zamany say laronga
qadmon main tumharay
pattiyan bichaon ga
mehel mohabbaton k main banaonga
raat raat jagaingay
sapnay piroangay
agar na mil sakay to
ikatthay hamesha ko soyengay
suno!!!
kabhi tum nay socha hai
tum kitni haseen ho
lakhon jahan dekhay
koi tum sa na ho
yeh ankhain yeh chehra yeh hont
bakhsh day mujhay k main keh sakon
main dunya ka khush naseeb insaan hon
main tumharay baghair kuch nahi
main tumhari waja say jahan hon
yeh likhnay walon nay
kabhi yeh bhi socha hai
jo wo kehtay hain
kia wo kartay hain
lafz bhi kitabon kay
apnay keh kay likhtay hain
kitaabi larkion ko
kitabain sunatay rehtay hain
tumhara chehra chaand hai
tumhari ankhain sharaabi hain
LARKIAN KITAABI HAIN…